Thursday, July 6, 2017

Dard



Dard Tasannu Ka Mareez Hogaya Hai
Shams Ab Qamar Ka Raqeeb Hogaya Hai

Ramaq Oues Aah Ki Ab Kho Gayi Hai
Yahan Tou Inqlaab Hi Shakeeb Ho Gaya Hai

Raij-ul-Waqt Hai Ulloon Ka Ijma
Nadaan! Neem Hakeem Hi Tabeeb Ho Gaya Hai

Channd Lamhoon Ki Khata Ka Ajer Hai Ye Tou
Har Nafas Yaan Mazloom e Saleeb Hogaya Hai

Umeedoon Ke Matam Ki Ghadi Hai, Ya Khushi Hai?
Suna Hai Shehar Ka Sahookar Gareeb Hogaya Hai

Tasweed e Hajar Ayaan Tou Hai Walekin
Najas ul Aein Wirsay Main Najeeb Ho Gaya Hai

Qayamat Kheez Manzar Bapa Hai Chahar Su
Shumaal Yaan Tou Junoob Ka Habib Ho Gaya Hai